Monday, November 1, 2010

Adda!

Yeh hain meri kholi
kabhi thi yeh 
mera adda
yahan takrate they
shishe se shishe
chalakte the jam
aaj duniya dekhta hun
shishe ke chashmo se
hain re
meri duniyan
Yeh kholi thi
kabhi mera
adda
dhun jhum
nachte the hum
raat bhar
aankhon 
ke tale hain
ab ghadde 
bade
hain re
meri duniya
kabhi meri
kholi thi
mera 
adda
yin 
plateon main
thi pasta se
shaan
aaj goliyan
karti hain 
raaj yahan
Yeh meri kholi
thi kabhi
adda
hum churate the
shbhnam
hoton se
ab aankhon ki
nami
jane hain kahan
Yeh meri kholi
thi kabhi
mera
adda
na jane 
kab ye 
ban jaye
mera magbara
jane na
hain re meri duniyan
Yeh meri kholi
adda hi rahi
hamesha
na dekha isne
sath kisika
na dekhe
koi haath
jo sajaye ye aashiyan
banaye ghar ise kabhi
hain re meri duniyan.........

4 comments:

Apoyando said...

Yeah you brought a striking point finally towards the end. Did the job. Brought the turmoil.

Aditya Nandode said...

Yeah Apoyando, unless last part comes in, all of above does not make much sense. :)

Rek Sesh said...

Missing home is it?....adda bhi ghar ban jayega...bas kuch phalon ka intezaar...woh kehtey hai na...sabr ka fhal hamesha meetha hota hai....aur phir se chalkengey jhaam khushiyon key...dil chuh liya... ;)

Aditya Nandode said...

LoL! Songsnwords, did not get home sick, just had a chance meeting with a person who told tales about his younger self's escapades, with smile, but his eyes did not smile. :)

Post a Comment