Agar kabhi hogi meri
koi beti
sar par chada rakhunga
use mein har ghadi
phir kuch bhi kahe
uski maa bhi
nahi sunuga mein kisi ki
Sikhaunga
padh waunga use
banegi wo
jo chahe
uska dil bhi
hogi uski
ho sake mujhse
jo khwaish
har so khwaish
puri
phir kyun na ho
uske pyar se uski shadi
Mere dar par
jo aaenge kabhi barathi
utarvaunga unki aarti
jhut jo bole toh
Dando se padhwaunga Pharsi
karvaunga unse
apne haatho ki safai
Mere dar par
jo aaenge abhi barati
Dunga sona-chandi
beti na hogi meri
kabhi parayi
par jo manga dahej
muh hoga unka
Kaala neela peela
Hathkadio se karaunga
jaan-pehchaan unki
Mere dar par
jo aaenge kabhi barati
muskan se rahe
meri rajkumari
chaunga mein hamesha yehi
par jo kharoch lagvay use koi
toh karva dunga
hadi-pasli ek unki
Agar hogi jo
meri beti kabhi
toh na hogi
wo lachar kabhi
apne pairon pe khade raheneki
hogi usme shamta bhari
par na hogi wo
akeli kabhi
Agar hogi jo
meri beti kabhi……
12 comments:
Wow lovely..... :)
*claps* *bows to thee*
Ty! NJ :)
Ty! lady Nimue, it is a huge compliment coming from u! :)
great feeling of a father was well expressed. loving it.....
Great One Buddy.... Taarif karun kya uski, jisne ye kavita banayi.... Hats Off
awwww..... Wish u have a baby gal soon
Ty! Yogita! :)
LoL! Paresh! Thanks for the compliment! :)
Agnivo! Soon!-No! After year or two may be! But not soon! :)
WOW!! Hats off. I was reading this and being a daughter, I could feel every emotion of yours and could relate to it. I know one thing for sure that your future daughter is extremely lucky to have a dad like YOU, who has so much love and emotion for his yet-to-be-born daughter and let me tell you, with a dad like yourself she'll be always blessed with a happy life. :) Kudos!
Ty! aspirantentrepreneur! :)
Post a Comment