Saturday, March 15, 2025

Saath...


Sath hi chale thee kabhi...
Sangh hi chale thee kabhi...
Kab yun kis chal main phas gaya...
Khali kamyabiyo ke tale dhaye gaya...
Jis hath ke liye chala tha...
Jis sath ke liye chala tha...
Wo sath hi bhul aayan hun...

Bada aagye chala aayan hun...
Bada aagye cahla aayan hun...
Kuch rastein badal gayein hain...
Kuch waqt sa badal gayan hain...
Ya kuch main hi badal gayan hu...
Mud ke dekh rahan hun...
Par wo mod hain hi nahi kahin...

Saath hi chale thee kabhi...
Wo sath hi bhul aaya hu...
Wo sukun hi tha sath mere tere...
Jis aas main itna chala hu main... 
Wo wahi hain....
Tum kahi aur chal pahuchi...
Main kahin aur chala aayan hun...

Ab toh ye jahan alag hain...
Ab toh tera jahan alag hain...
Par Kehna tumhise hain...
Jab saath tha toh hamosh tha...
Ab shabdh hain toh kisse sunau...
Koi samajhne wala nahi hain...
Wo sukun chod aaya kahin main....

Saath hi chale thee kabhi...
Hathon main hath liye...
Kuch hum chakachond huin...
Kuch tum...
Aur yun kab rahein badli....
Ki hum loont na sake....
Ek kadam do kadam...  
Kadam dar kadam fasle badhtein gayein...

Faslein badhtein gayein....


No comments:

Post a Comment